Jaisa kii hm sabhi log jante hai english ek international language hii nahi balki yeh ek skill hai. Agar aap speaking English jante hai to apko kahi bhi asani se job mil jati hai wahin agar aapko English conversation me dikkat hota hai ya nahi aata hai to aaj ke samay me job milna bahoot hii muskil ho jaata hai.
Isliye ham aaplogo ko aaj speaking English sikhne ke kuchh asan tarika batayenge jisko daily practice karne se aap fluent English bolna sikh jainge.
Table of Contents
1. Dekhna/ watching
Ye speaking English sikhne ka pehla tarika hain. Ye aapko naye English vocabulary, muskil English pronunciation ko sikhne me madad krega. Aap iske liye English movie aur josh talk ke youtube videos dekh sakte hai isse aap na kewal speaking English sikhenge balki successful logo ka life story sunkar bahoot kuchh sikh sakte hai aur apne jeevan ko behater bana sakte hain.
2. Padhna/ Reading
Ye speaking English sikhne ka bahoot hi aham tarika hai. Roj English padhne se aap english bolne me fluency pa sakte hai. Isse aapka English vocabulary bhi strong hoga wahi aap english bolne me confident bhi mehsoos karoge. Iske liye aap koi bhi achha English newspaper padh sakte hai aur acchi acchi novel padh sakte hai.
Isko daily karne se aapka english reading speed bhi badhega jisse ki aap koi bhi book dusro ke mukable jaldi padh lenge.
3. Sunna/ Listening
Ye spoken english sikhne ka ek bahoot hi achha tarika hai jisse aap english accent sikh sakte hai aur english conversation me fluency paa sakte hai. English sunne ke liye aap news bulletins, english song aur pronunciation of words sun sakte hai.
Aap jitna jaada sunenge utna jaada aap sikhenge. Sunne ke sath sath aap unko copy bhi kre isse aap new words aur words expression ko bhi sikh lenge.
4. Bolna/ Speaking
English me ek bahoot hi achha proverb hai “practice makes men perfect” iska matlab hai aap apne field me jitna practice krenge aap utna hii perfect banenge. Thik usi tareh aap jitna english bolne ka practice krenge aap utna fluent aur confident apne pronunciation sath hi vocabulary me honge.
Isliye aap adhik se adhik English speaking kigye agar koi partner hai to aap uske sath bhi kr sakte hai agar nahi hai to aap akele mirror ke samne practice kr sakte hai.
Speaking English kaha se sikhe?
Aaj ke is technology se bhari duniya me kuchh aaisa nahi hain jo ki koi sikh nahi sakte. Har koi jo chahe wo sikh sakta hai wo bhi ghar baithe basarte aapko apna focus and dedication dena hoga. English speaking course aap do tariko se kar sakte hai:-
- English speaking online
- English speaking offline
First wala course ko aap Ghar baithe kar sakte hai apne phone, laptop, ya PC se wahi dusra wala course me aapko kisi coaching sansthan me dakhila lena hoga aur aapko physically waha daily jana hoga. Aaj ke is badalti duniya me koi apna time waste nahi karna chahta wahi din partidin market me competition badhta ja raha hai.
You may like https://probihari.in/know-your-state-bihar/
Student apna time save karke online shift ho rahe hai jaha unko na hi sirf top educator milte hai balki offline se kai guna jayde oppertunity bhi milta hai jaise aane jane ka time save, alag alag region,state ke student ke sath competition aur bahoot kuchh.
Aap online speaking course ke liye josh talk ka english speaking course le sakte hai is course me speaking english bahoot hi asan tariko se sikhaya gya hai.
Speaking english sikhne ke fayde.
Waise to english conversation or speaking English sikhne ke bahoot sare fayde hai jaisa ki hmne apko suruaat me hi bataya tha yeh ek international language hi nahi balki yeh ek skill hai jaiske bina aap aaj ke is technologgy se bhari duniya me adhure hai ye aapne bhi kai bar mahsoos kra hoga.
Yeh yahi tak simit nahi hai balki bahoot achhi achhi movie, novel, news bhi english me hi hai. Isliye ek speaking english sirf aapki puri lifestyle Badal sakti hai. Iske aur bhi kai fayde hai jaise ki:-
English bolne wale ko samaj me samman milta hai.
Speaking english aapke tour ko asan bana deti hai.
Aapko achhe achhe friend milenge.
English bolne walo ko achhi salary wali job bhi asani se mil jata hai.
Aap dusre country me bhi asani se job pa sakte hai apne fluent english aur english conversation se interviewer ko influence karke.
Here you can find some BEST FREE EBOOKS FOR Learning English : https://www.websiteplanet.com/blog/learn-english-free-books/
Kuchh jaruri baate jo aapko hamesa karna chahiye fluent english speaker banne ke liye.
Idiom and phrases ko adhik se adhik yad kare ye aapke sentence ko short kr denge.
Eak notes banaye jisme difficult wordmeaning aur speaking English ke sare important points note down kre.
Apne phone me koi achha sa dictionary app install kar le ye aapka time save karega word khojne me.
Achha friends banaye aur uske sath long english conversation kare aur sath hi usse apni galti ke bare me puchke use improve karne ka kosis kre.
Koi achha sa news paper reading ke liye chune jaise kii THE HINDU, TIMES OF INDIA isse aapki English grammar aur bhi beheter hogi kiyuki is paper me galtiya nahi ke barabar hoti hai sath hi is paper ke liye bahoot sare experts author aur editior likha karte hai.
Apne phone me apna speaking practice ko record kare aur apni weakness ko sudharne ki kosis kare.
Koi bhi chig hindi me nahi balki english me hi soche aur bole.
Negative logo se dur rahe ya unpe dhiyan naa de jo aapka majak udate hai aapki kamjor ya Galati English bolne pe.
Aap suruat me apne liye patli aur intresting novel ya book padhiye jo aapke interest ko bhi banaye rakhega aur aap jaldi se book padh bhi lenge. Lekin agar aap pehle moti moti aur uninteresting book ya novel se suruat krenge to aapko kuchh din baad boarning bhi lagne lagega sath hi book ko khatam karna aapko pahar pe chadhne jaisa lgega.
Speaking english sikhna utna muskil bhi nahi jitna aap samajh rahe hai bas aapko kuchh din iske pichhe continuous mehnat karna parega aur apna motivation banaye rakhne ke liye aap youtube par josh talk ke video dekhte rahiye aap kuchh hi mahino me english native speaker ban jainge.
you may like https://probihari.in/best-5-ways-to-improve-writing-skills/
Aap in sab tariko ko follow kare aap payenge ki aapka speaking English din partidin behetar ho raha hai aur aap kuchh hi mahino me apna mukam hasil kar lenge. Meri well-wishes aur dua hamesa aapke sath hai.
BEST OF LUCK.